raaz ye sab ko batāne kī zarūrat kyā hai
dil samajhtā hai tire zikr meñ lazzat kyā hai
jis meñ motī kī jagah haath meñ miTTī aa.e
utnī gahrā.ī meñ jaane kī zarūrat kyā hai
apne hālāt pe mā.il-ba-karam vo bhī nahīñ
varna is gardish-e-daurāñ kī haqīqat kyā hai
qābil-e-dīd hai āhista-ḳhirāmī un kī
aa dikhā.ūñ tujhe zāhid ki qayāmat kyā hai
un ke dāman pe jo girtā to patā chal jaatā
ai mirī aañkh ke aañsū tirī qīmat kyā hai
ban ke aa.e haiñ ḳharīdār arab ke būḌhe
haa.e muflis tirī beTī kī bhī qismat kyā hai
muñh bhī dekhā nahīñ maiñ ne kabhī mai-ḳhāne kā
tauba tauba mujhe tauba kī zarūrat kyā hai