Raaz Allahabadi

shab-KHun ka KHatra hai abhi jagte rahna

Raaz Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1929-1996
shab-ḳhūn kā ḳhatra hai abhī jāgte rahnā
qātil pas-e-parda hai abhī jāgte rahnā
haiñ qaid tire baḳht ke sūraj kī shuā.eñ
ye sub.h kā dhokā hai abhī jāgte rahnā
laḌnā hai tujhe shab ke añdheroñ se musāfir
sūraj kahāñ niklā hai abhī jāgte rahnā
phir aane lagī niiñd mire ham-safaroñ ko
apnā to irāda hai abhī jāgte rahnā
hai manzil-e-ta.amīr meñ ta.abīr kā sūraj
ye ḳhvāb adhūrā hai abhī jāgte rahnā
nīndeñ to ye kahtī haiñ chalo chain se so.eñ
dil siine meñ kahtā hai abhī jāgte rahnā
ye kah ke mujhe 'rāz' vo sone nahīñ detā
har gaam pe ḳhatra hai abhī jāgte rahnā
Top Urdushayar.com