zauq-e-suḳhan ko ab to tere aag lagānā achchhā hai
muflis ghar kī hālat hai aur sher sunānā achchhā hai
merī sachchī chāhat dekhī kah baiThā vo mahfil meñ
mere sab dīvānoñ meñ se ye dīvāna achchhā hai
tīr-e-nazar se aisā maare dil kā panchhī taab na le
duniyā ghar ke sayyādoñ se us kā nishāna achchhā hai
shaiḳh to masjid meñ jaatā hai andar se dil kaalā hai
sachche aabid jahāñ khaḌe huuñ vo but-ḳhāna achchhā hai
aisī chaal kahāñ duuje kī kyuuñ tū aisā kahtā hai
vaise tū ne parde meñ mujh ko pahchānā achchhā hai
auroñ ko talqīn kare hai lekin 'sarvar' nāseh kā
mai-ḳhāne meñ chupke chupke ānā-jānā achchhā hai