Sarwar nepali

ai KHwab-e-dil-nawaz na aa kar sata mujhe

Sarwar nepali

Banke, Nepal

1974
ai ḳhvāb-e-dil-navāz na aa kar satā mujhe
hai niiñd aa.ī TuuT kar ba.ad-az-qazā mujhe
maiñ to jabīn-e-shauq par likhtā gayā use
vo bhī nigāh-e-nāz se paḌhtā rahā mujhe
us kī ḳhirām-e-nāz pe marte rahe sabhī
lekin nuqūsh-e-la.al meñ dekhā gayā mujhe
vo zam hue kuchh aise mirī kā.enāt meñ
vo hī mileñge tum se jo doge sadā mujhe
ik phuul aur khil gayā ahd-e-bahār meñ
ik sañg jab bhī taan ke maarā gayā mujhe
'sarvar' kī ek baat ne bedār kar diyā
chehre pe sard aab kā chhīñTā diyā mujhe
Top Urdushayar.com