mohabbat meñ koī tanhā safar achchhā nahīñ lagtā
jo aa.uuñ lauT kar to apnā ghar achchhā nahīñ lagtā
usūlan pyaar aur nafrat hamesha saath rahte haiñ
tirī galiyoñ se logoñ kā guzar achchhā nahīñ lagtā
unheñ to qatl karne par savāb-e-ḳhuld miltā hai
unhīñ ko pyaar kā ik bhī shajar achchhā nahīñ lagtā
zamāne-bhar ke tum ko nāz-o-naḳhre kyuuñ uThāne haiñ
ḳhudā se ho na vābasta to Dar achchhā nahīñ lagtā
tumhāre kaan ke jhūmar meñ ho to dil uchhal jaa.e
tumhārī aañkh meñ jānāñ guhar achchhā nahīñ lagtā