chāñd nikle na kahīñ yaar purāne nikle
koī kambaḳht mirā dil to jalāne nikle
ġham-e-nāzuk ko tabassum ne kiyā parda-nashīñ
ashk dushman kī tarah raaz batāne nikle
maiñ to bas sard havā khāne ko chhat par aayā
vo bhī sūkhe hue kapḌoñ ko uThāne nikle
us kā ġham thā ki mire dil pe sulaimāñ kī mohr
ashk nikle ki ye motī ke ḳhazāne nikle
mujh pe sahrā meñ bhī ik sañg kisī ne pheñkā
mere aage to ye majzūb siyāne nikle
daur-e-hāzir ke suḳhan-sāz haiñ kis ujlat meñ
sub.h dīvān kahā shaam chhapāne nikle
phir se betāb hai us chāñd kā paara paara
haa.e vo chāñd to uñglī ko nachāne nikle
mushk-e-nepal ne aalam se mashā.iḳh khīñche
khodī miTTī to ka.ī dafan ḳhazāne nikle
terī galiyoñ kā patā mushk se mālūm kiyā
phir usī or ka.ī bigḌī banāne nikle