Sandeep Koul Nadim

phir main un manzilon ka talib hun phir main us rah se guzarta hun

Sandeep Koul Nadim

1976
phir maiñ un manziloñ kā tālib huuñ phir maiñ us raah se guzartā huuñ
ab maiñ tujh ko sadā.eñ kyā dūñgā ab maiñ ḳhud ko talāsh kartā huuñ
har sadā sun ke dil dhaḌaktā hai mujh ko ḳhāmoshiyoñ se dahshat hai
kyā karūñ sāmnā jahān kā ab jab maiñ parchhā.iyoñ se Dartā huuñ
merī hastī ajiib hai yā-rab ab mujhe ḳhud pe iḳhtiyār nahīñ
ālam-e-be-ḳhudī meñ jiitā huuñ maiñ ġham-e-āshiqī meñ martā huuñ
ab ke din kuchh siyāh lagtā hai ab ke taare bujhe bujhe se haiñ
zaḳhm khā kar maiñ muskurātā huuñ jab sukūñ pā.ūñ aah bhartā huuñ
Top Urdushayar.com