Sandeep Koul Nadim

tab ke kya hasil-e-wafa hoga

Sandeep Koul Nadim

1976
tab ke kyā hāsil-e-vafā hogā
ishq jab tālib-e-sazā hogā
maiñ hī shāyad na sun sakā yārab
us ne kuchh to mujhe kahā hogā
ḳhud-parastī ho jis kī fitrat meñ
vo to be-sharm be-hayā hogā
phir mohabbat na karnā chāhoge
merā fasāna gar sunā hogā
ġham mire saath thā hamesha se
ab ke vo bhī zarā ḳhafā hogā
ḳhvāhisheñ aur baḌhtī jā.eñgī
kyā yahī hāsil-e-duā hogā
kis ki aahaT sunā.ī detī hai
zaḳhm shāyad koī nayā hogā
thī usī dam pe thoḌī ra.anā.ī
ab ḳhayāl us kā bhī gayā hogā
kaisā har samt ye añdherā hai
chāñd shāyad bujhā bujhā hogā
kyā kahā zulm us kī fitrat hai
us ko jaane de vo ḳhudā hogā
āñdhiyoñ ko bhī kar rahā raushan
kaisā vo sar-phirā diyā hogā
maut jis ko lage hai dushman sī
har ghaḌī Dar ke vo jiyā hogā
maut kā ḳhauf vo nahīñ rakhtā
ek lamha bhī jo jiyā hogā
apnī hastī miTā sakūñ 'nādim'
is se baḌh kar junūn kyā hogā
Top Urdushayar.com