vo mere hāl-e-dil se is qadar bhī be-ḳhabar hogā
ḳhabar kyā thī ki yuuñ behis vo merā ham-safar hogā
ki ham to umr bhar laḌne kī ḳhvāhish le ke aa.e the
ḳhabar kyā thī ki vaqt-e-faisla yuuñ muḳhtasar hogā
charāġh-e-ġham jalāyā thā ujāloñ kī umīdoñ meñ
ḳhabar kyā thī mirī koshish kā ulTā hī asar hogā
dabe sho.aloñ ko bhaḌkāyā ki un kā āshiyāñ sulge
ḳhabar kyā thī jalegā jo mirā apnā hī ghar hogā
vo jab ruḳhsat huā us ko pukārā bhī nahīñ ham ne
ḳhabar kyā thī kī pachhtāvā hameñ phir umr bhar hogā
jahāñ merī har ik hasrat haqīqat meñ badal jaa.e
ḳhabar kyā thī mire ḳhvāboñ kā vo sāhil kidhar hogā
jise ham DhūñDhte phirte the ḳhvāboñ meñ ḳhayāloñ meñ
ḳhabar kyā thī vo sadiyoñ se hamārā muntazir hogā