Irfan Waheed

zoam-e-hasti mere idrak se bandha gaya hai

Irfan Waheed

Malerkotla, Punjab, India

1981
zo.am-e-hastī mire idrāk se bāñdhā gayā hai
aur badan turra-e-pechāk se bāñdhā gayā hai
ek aañsū tirī poshāk se bāñdhā gayā hai
yā sitārā koī aflāk se bāñdhā gayā hai
ishq ko gesū-e-pechāk se bāñdhā gayā hai
aur phir gardish-e-aflāk se bāñdhā gayā hai
ḳhaak uḌātā huuñ maiñ tā-umr nibhāne ke liye
ek rishta jo mirā ḳhaak se bāñdhā gayā hai
TuuTe paḌte haiñ tamāshe ko yahāñ par naḳhchīr
aaj sayyād ko fitrāk se bāñdhā gayā hai
kisht-e-vahshat ho jise dekhnī aa.e dekhe
har bagūla ḳhas-o-ḳhāshāk se bāñdhā gayā hai
phir vahī harf-e-tamannā hai vahī sā.at-e-dard
phir hameñ dīda-e-namnāk se bāñdhā gayā hai
ab kisī kūza-garī kī nahīñ hājat ki mujhe
tā fanā ek isī chaak se bāñdhā gayā hai
ham gunahgāroñ kī hai āḳhirī ummīd vahī
ahd ik jo shah-e-laulāk se bāñdhā gayā hai
kujā ye shoḳh-adā duniyā kujā maiñ 'irfān'
mard-e-sāda zan-e-bebāk se bāñdhā gayā hai
Top Urdushayar.com