Zafar Ansari Zafar

ye dasht-e-shauq ka lamba safar achchha nahin lagta

Zafar Ansari Zafar

Muzaffarpur, Bihar, India

1976
ye dasht-e-shauq kā lambā safar achchhā nahīñ lagtā
magar Thahrūñ kahāñ koī shajar achchhā nahīñ lagtā
yahī ik baat ab maiñ sochtā rahtā huuñ ḳhalvat meñ
na jaane kyuuñ mujhe ab terā dar achchhā nahīñ lagtā
karam karte nahīñ kyuuñ tum mire qalb-e-shikasta par
mirā yuuñ ġham-zada rahnā agar achchhā nahīñ lagtā
nigāhoñ se jo ojhal us gul-e-ra.anā kā jalva hai
ye rañg-e-shām ye rañg-e-sahar achchhā nahīñ lagtā
udhar vo bhī bichhaḌ ke ham se kho.e kho.e rahte haiñ
akelā mujh ko bhī rahnā idhar achchhā nahīñ lagtā
uThī hai jab se ye dīvār-e-nafrat dal ke āñgan meñ
mujhe ai dosto ḳhud apnā ghar achchhā nahīñ lagtā
Top Urdushayar.com