kabhī kisī ko jo dekhā kisī kī bāñhoñ meñ
tujhī ko yaad kiyā dil ne sard aahoñ meñ
isī ummīd pe duniyā ko ham ne chhoḌ diyā
sukūn dil ko milegā tirī panāhoñ meñ
bahut hasīn thā bachpan kā vo zamāna bhī
koī hasīn kalī thī mirī nigāhoñ meñ
kiyā thā tū ne bhī mujh se nibāh kā va.ada
ye chāñd aur sitāre bhī haiñ gavāhoñ meñ
bahut dinoñ se chhupā hai vo chāñd jaane kahāñ
bahut dinoñ se añdherā hai dil kī rāhoñ meñ
azāb-e-hijr na de ai ḳhudā-e-husn mujhe
mirī vafā ko bhī shāmil na kar gunāhoñ meñ