Zafar Ansari Zafar

haalat-e-bimar-e-gham par jis ko hairani nahin

Zafar Ansari Zafar

Muzaffarpur, Bihar, India

1976
hālat-e-bīmār-e-ġham par jis ko hairānī nahīñ
asal meñ us aadmī meñ ḳhū-e-insānī nahīñ
aisī bedardī se us ko mat bahāo ḳhaak par
ḳhūn-e-insāñ ḳhūn-e-insāñ hai koī paanī nahīñ
ruuh kā rishta kabhī kyā toḌ paa.ī hai qazā
zindagī faanī hai lekin ruuh to faanī nahīñ
jis kī ḳhushbū se mo.attar raat bhar rahtā thā maiñ
mere ghar ke paas ab vo raat kī raanī nahīñ
maiñ ta.ajjub meñ huuñ ye kaisā zamāna aa gayā
chāñd meñ ThanDak nahīñ sūraj meñ tābānī nahīñ
phir tire uupar na TuuTe kyuuñ azāboñ kā pahāḌ
tere andar ik zarā bhī bū-e-īmānī nahīñ
yuuñ na apne chāhne vaale ko rusvā kījiye
ye to andāz-e-sulūk-e-dilbar-e-jānī nahīñ
kyuuñ nahīñ tūfāñ kā manzar terī chashm-e-shauq meñ
kyuuñ tire dariyā-e-dil meñ ab vo tuġhyānī nahīñ
mutma.in hai ishq bhī shām-e-alam ke bāvajūd
husn ke chehre pe bhī aks-e-pareshānī nahīñ
ishq meñ bhī tū na pā.egā kahīñ merā javāb
jān-e-man jo husn meñ koī tirā saanī nahīñ
ai 'zafar' paale hue haiñ vo bhī duniyā kī havas
ab faqīr-e-ishq meñ bhī bū-e-irfānī nahīñ
Top Urdushayar.com