sirhāne bebasī rotī rahī hai
shab-e-ġham zindagī rotī rahī hai
shab-e-ġham sāneha kyā ho gayā thā
bahr-sū chāñdnī rotī rahī hai
ye merī shūmī-e-qismat pe yaaro
sahar tak sham.a bhī rotī rahī hai
mirī be-chārgī par bazm-e-anjum
kabhī hañstī kabhī rotī rahī hai
guloñ kī muskurāhaT yaad kar ke
gulistāñ meñ kalī rotī rahī hai
ḳhalish hotī hai patthar ke bhī dil meñ
butoñ kī aañkh bhī rotī rahī hai
tumheñ kyā hai ḳhabar tanhā.iyoñ meñ
sitamgar kī galī rotī rahī hai
faqat āñkheñ nahīñ furqat kī shab meñ
hamārī ruuh bhī rotī rahī hai
'zafar' jab se huā tark-e-ta.alluq
hamārī shā.erī rotī rahī hai