Zafar Ansari Zafar

jab bhi mazi ke nazare ko nazar jaegi

Zafar Ansari Zafar

Muzaffarpur, Bihar, India

1976
jab bhī maazī ke nazāre ko nazar jā.egī
shaam ashkoñ ke sitāroñ se sañvar jā.egī
kyā batā.ūñ ki kahāñ tak ye nazar jā.egī
ek din hadd-e-ta.ayyun se guzar jā.egī
jab bhī us ke ruḳh-e-raushan kā ḳhayāl aa.egā
chāñdnī dil ke shabistāñ meñ utar jā.egī
har sitam karne se pahle ye zarā soch bhī le
maiñ jo bikhrā to tirī zulf bikhar jā.egī
maiñ ye samjhūñgā mujhe mil ga.ī merāj-e-vafā
zindagī gar tirī yādoñ meñ guzar jā.egī
us taraf apnī mohabbat kī kahānī hogī
ye havā bū-e-vafā le ke jidhar jā.egī
kyā ḳhabar thī ki 'zafar' ruuh mirī duniyā meñ
ārzūoñ se kuchal kar kabhī mar jā.egī
Top Urdushayar.com