Habeeb Rahat Habab

nafas nafas na kahin jae raegan apna

Habeeb Rahat Habab

nafas nafas na kahīñ jaa.e rā.egāñ apnā
havā kī shāḳh pe rakkhā hai āshiyāñ apnā
hamāre ḳhvāb meñ kamḳhāb hai na resham hai
yaqīñ yaqīñ hī rahā hai na ab gumāñ apnā
abā-qabā to hai shāhoñ kī choñchle-bāzī
qalandaroñ kā hai sab se alag jahāñ apnā
tire ḳhulūs ke hāthoñ bike hue haiñ ham
na suud suud hai apnā na hai ziyāñ apnā
nigāh-e-nāz ne be-ḳhud kiyā hai jis din se
matā-e-jism hai apnī na zād-e-jāñ apnā
kiyā hai chāñd pe basne kā ahd jab us ne
zamīn DhūñDhtī phirtī hai āsmāñ apnā
vahīñ vahīñ se numū pā.egī mirī hastī
lahū 'habāb' girā hai jahāñ jahāñ apnā
Top Urdushayar.com