tire qarīb rahūñ yā ki maiñ safar meñ rahūñ
ye aarzū hai tire halqa-e-asar meñ rahūñ
shafaq shafaq mujhe dekhe nigāh-e-husn-e-shu.ūr
naqīb-e-mehr banūñ naġhma-e-sahar meñ rahūñ
yaqīñ kī chhāñv meñ tujh ko jo niiñd aa jaa.e
maiñ tere ḳhvāb kī sūrat tirī nazar meñ rahūñ
jamāl-e-shāhid-e-ma.anī pe jab nikhār aa.e
ḳhayāl-e-husn banūñ aur sher-e-tar meñ rahūñ
ye chāhtā huuñ ki maiḳhāne tak rasā.ī ho
agar sifāl banūñ dast-e-kūza-gar meñ rahūñ
kabhī phirūñ maiñ bayābān-e-dil meñ sargardāñ
kabhī nigār-e-kam-āmez kī nazar meñ rahūñ
banā.eñ ahl-e-nazar surma-e-nazar mujh ko
ġhubār ban ke agar terī rahguzar meñ rahūñ
tirā jamāl-e-dil-ārā rahe tasavvur meñ
guloñ kī bazm ki maiñ chāñd ke nagar meñ rahūñ
duā-e-nīm-shabī vo kare mirī ḳhātir
kuchh aisā ban ke dil-e-husn-e-ishva-gar meñ rahūñ
mire nasīb meñ ho tere naam kī surḳhī
ki jis kā tujh se ta.alluq ho us ḳhabar meñ rahūñ
kisī kī bazm meñ jaane se fā.eda kyā hai
mire liye yahī behtar hai apne ghar meñ rahūñ
banūñ maiñ tere liye vajah-e-lutf-e-lāfānī
ziyā-e-ishq kī sūrat dil-o-jigar meñ rahūñ
tirī hī samt hamesha ho merā qibla-e-dil
hamesha mahv tire husn-e-mo'atabar meñ rahūñ
'zafar' ye mere liye to azāb-e-jāñ hogā
ḳhudā na-karda ki maiñ shahr-e-be-hunar meñ rahūñ