us se merā to koī duur kā rishta bhī nahīñ
aur ye bhī hai ki vo shaḳhs parāyā bhī nahīñ
vo mire ġham se ho anjān kuchh aisā bhī nahīñ
vo mirā haal magar pūchhne aayā bhī nahīñ
ġhair ko qurb mayassar hai magar ai hamdam
merī ḳhātir to tirā duur kā jalva bhī nahīñ
umr bhar saath nibhāne kā karūñ kyā va.ada
zindagī ab to mujhe ḳhud pe bharosa bhī nahīñ
is qadar mujh ko rahā ābrū-e-ġham kā ḳhayāl
ronā chāhā to magar phuuT ke royā bhī nahīñ
ek terī jo tamannā na rahī ai hamdam
mere dil meñ to kisī shai kī tamannā bhī nahīñ
ek vo haiñ ki unheñ aa.ī hai ārām kī niiñd
ek maiñ huuñ ki kabhī chain se soyā bhī nahīñ
baaz aate bhī nahīñ zulm-o-sitam se apne
dekh paate ho magar merā taḌapnā bhī nahīñ
chhoḌe jaatī hai magar ye bhī tujhe yaad rahe
zindagī tere sivā ab koī apnā bhī nahīñ
kis tarah phail ga.ī bū-e-hinā har jānib
us ke baare meñ abhī maiñ ne to sochā bhī nahīñ
mujh ko hālāt ne behis hī banā kar chhoḌā
mere siine meñ ye dil hai ki dhaḌaktā bhī nahīñ
bhuul ke saare sitam ham to chale jaate 'zafar'
par hameñ us ne kabhī dil se bulāyā bhī nahīñ