Zafar Ansari Zafar

gham itne apne daman-e-dil se lipaT gae

Zafar Ansari Zafar

Muzaffarpur, Bihar, India

1976
ġham itne apne dāman-e-dil se lipaT ga.e
tujh se bichhaḌ ke ham ka.ī qistoñ meñ baT ga.e
kyuuñ ye dayār mere liye tañg sā lagā
kyā baat hai ki dāman-e-sahrā simaT ga.e
is se kahīñ bhī naam tumhārā nahīñ milā
ham har varaq kitāb-e-vafā ke palaT ga.e
tum ġhair se nibhāo vafā ham ko bhuul kar
jaao tumhārī raah se ham aaj haT ga.e
ab jhelnā paḌegā azāb-e-gunāh-e-ishq
us but-numā ḳhudā ke irāde palaT ga.e
jab se matā-e-dard milī mujh ko ai 'zafar'
qad mere sāmne mire yāroñ ke ghaT ga.e
Top Urdushayar.com