mohabbat pe shāyad zavāl aa rahā hai
ki ab zindagī kā savāl aa rahā hai
fazā mahkī mahkī hai sehn-e-chaman kī
jo aaj ik yahāñ gul-misāl aa rahā hai
karūñ kis tarah un se tark-e-ta.alluq
mujhe un ke dil kā ḳhayāl aa rahā hai
ye kis ke tasavvur meñ ai jān-e-armāñ
tujhe bhī sar-e-bazm haal aa rahā hai
guzar sā gayā sāneha kyā chaman meñ
guloñ par jo rañg-e-malāl aa rahā hai
ye dasht-e-havas hai jafāoñ kī duniyā
idhar kyuuñ hujūm-e-ġhazāl aa rahā hai
vo bol uTThe dekhā jo āshiq ko aate
idhar koī āshufta-hāl aa rahā hai
'zafar' ye hai us but kī yādoñ kā sadqa
shab-e-hijr lutf-e-visāl aa rahā hai