Zafar Ansari Zafar

inki nazron mein na ban jae tamasha chehra

Zafar Ansari Zafar

Muzaffarpur, Bihar, India

1976
in kī nazroñ meñ na ban jaa.e tamāsha chehra
is liye Dartā huuñ dikhlāne se apnā chehra
jaane kyā baat huī shahr-e-nigār-e-jāñ meñ
aaj kyuuñ ajnabī lagtā hai shanāsā chehra
bahr-e-ġham bhī hai kabhī āshiq ḳhasta ke liye
hai kabhī sāhil-e-ishrat bhī tumhārā chehra
ham vahāñ haiñ jahāñ qaa.em hai hukūmat dil kī
phir bhī kyuuñ roz dikhātā hai karishma chehra
chehra-e-husn ko ab dekh ke ye sochtā huuñ
aa.ina hai koī yā ā.ina-ḳhāna chehra
kyā rahe dil kī koī baat muamma ban kar
kartā rahtā hai yahāñ dil kā fasāna chehra
kaun hai jis ke liye itnā pareshān hai dil
DhūñDhtā rahtā hai ab kis ko vo chehra chehra
kushta-e-gardish-e-daurāñ hue uf rī taqdīr
varna kal chāñd se behtar thā hamārā chehra
vo tire phuul se din mujh ko bahut yaad aa.e
maiñ ne dekhā jo tirā dhuup meñ jhulsā chehra
chashm-e-mushtāq za-sar tā-ba-qadam maiñ bhī huuñ
ban gayā hai jo tirā husn sarāpā chehra
mehrbāñ kaun mire dil pe hai itnā ai 'zafar'
har ghaḌī rahtā hai āñkhoñ meñ ye kis kā chehra
Top Urdushayar.com