ik to ye zindagī hī sarāsar fareb hai
aur us pe āgahī bhī barābar fareb hai
rahne do un ko ishq-o-junūñ ke sarāb meñ
talḳhī hai utnī sach meñ ki behtar fareb hai
ta.abīr tere ḳhvāb kī ma.alūm hai mujhe
tujh kushta-e-gumāñ kā muqaddar fareb hai
ik aur āsmāñ bhī hai is āsmān par
goyā yahāñ fareb ke uupar fareb hai
hai vāqi.a kuchh aur hī 'kāshif' pas-e-hijāb
jo aañkh dekhtī hai vo manzar fareb hai