tabīb kahte haiñ juz vahm-e-ḳhvāb kuchh bhī nahīñ
to kyā jo ham ne sahe vo azaab kuchh bhī nahīñ
hamārī dasht-navardī tumhāre kaam aa.ī
tumheñ ye kaun batātā sarāb kuchh bhī nahīñ
nazīr us kī maiñ kyā duuñ ki sāmne us ke
charāġh maah sitāra gulāb kuchh bhī nahīñ
tamām umr kiyā maiñ ne kār-e-lā-hāsil
ki mad.h-e-husn-e-butāñ kā savāb kuchh bhī nahīñ
koī latīf sī shai ho to ham piyeñ saaqī
ham ahl-e-dil kī nazar meñ sharāb kuchh bhī nahīñ
agar meñ jazb na kar paañv raushnī 'kāshif'
to maah kuchh bhī nahīñ āftāb kuchh bhī nahīñ