Kashif Rafiq

main udas-raat ka chand hun ghane baadalon mein ghira hua

Kashif Rafiq

Abbaspur, Jammu and Kashmir, India

1979
maiñ udās-rāt kā chāñd huuñ ghane bādaloñ meñ ghirā huā
mirī taab kī ho ḳhabar kise maiñ ridā-e-ġham meñ chhupā huā
nahīñ phuul maiñ ki mirī taraf kisī ḳhush-nazar kī nigāh ho
maiñ to ek zard sā paat huuñ kahīñ rāste meñ paḌā huā
mujhe Dar thā jis kā vahī huā mirī aañkh khulte hī jhaḌ gayā
tirī palkoñ par mire vasl kā thā jo ek ḳhvāb sajā huā
mirī dhaḌkaneñ thiiñ baḌhī huī mire hoñT jaise sile hue
maiñ bayān haal na kar sakā tire sāmne mujhe kyā huā
ye adāvatoñ kī subuk havā use sah sakūñ kahāñ hausla
maiñ vo peḌ huuñ ki mohabbatoñ kī fazā meñ phūlā-phalā huā
ye dayār-e-dil ye khañDar sahī magar is kī raunaqeñ kam nahīñ
yahāñ rañg rañg ke zaḳhmoñ kā shab-o-roz mela lagā huā
Top Urdushayar.com