ḳhvāboñ kī tarah goyā bikhar jā.eñge ham bhī
chup-chāp kisī roz guzar jā.eñge ham bhī
ham jaise ka.ī log chale jaate haiñ har roz
kyā hogā kisī roz jo mar jā.eñge ham bhī
ham log nahīñ kuchh bhī magar lauh-e-zamā. par
ik naqsh koī apnā sā dhar jā.eñge ham bhī
oḌhe hue haiñ ruuh pe ham dāġhoñ bharī ḳhaak
jab utregī ye ḳhaak nikhar jā.eñge ham bhī
ik aa.ina aisā ki jo bātin bhī dikhā de
aa.egā muqābil to sañvar jā.eñge ham bhī
rahnā hai kise ḳhvāb sī duniyā meñ hamesha
'kāshif' kisī din lauT ke ghar jā.eñge ham bhī