Mohammad Mukhtar Ali

dilon se dard dua se asar nikalta hai

Mohammad Mukhtar Ali

diloñ se dard duā se asar nikaltā hai
ye kis bahisht kī jānib bashar nikaltā hai
paḌā hai shahr meñ chāñdī ke bartanoñ kā rivāj
so is azaab se ab kūza-gar nikaltā hai
miyāñ ye chādar-e-shohrat tum apne paas rakho
ki is se paañv jo Dhāñpeñ to sar nikaltā hai
ḳhayāl-e-gardish-e-daurāñ ho kyā use ki jo shaḳhs
girah meñ maañ kī duā bāñdh kar nikaltā hai
maiñ sañg-e-mīl huuñ patthar nahīñ huuñ raste kā
so kyuuñ zamāna mujhe rauñd kar nikaltā hai
mire suḳhan pe tū dād-e-suḳhan nahīñ detā
tirī taraf mirā qarz-e-hunar nikaltā hai
suḳhnvarān-e-qad-āvar meñ terā qad 'muḳhtār'
ajab nahīñ hai jo bālisht-bhar nikaltā hai
Top Urdushayar.com