achchhī lagīñ kitāboñ meñ bāteñ usuul kī
un par amal kiyā hai yahī ham ne bhuul kī
sāleh rivāyatoñ pe bhī aane lagā zavāl
qīmat baḌhī hai in dinoñ kāġhaz ke phuul kī
bachchoñ ke ruḳh pe dekhī hai māyūsiyoñ kī gard
jab ḳhālī haath ghar meñ pahuñchne kī bhuul kī
ik aarzū ne Daal diyā hai azaab meñ
kab tak sazā milegī mujhe ek bhuul kī
vo apne aap mil gayā taqdīr meñ jo thā
ham ne tamām umr-e-tag-o-dau fuzūl kī
ham ne to intizār meñ umreñ guzār diiñ
saa.at na aa.ī husn-e-karam ke nuzūl kī
e.azāz paane vāloñ meñ kyuuñ merā naam ho
'mehdī' jo ye zakāt na maiñ ne qubūl kī