rishtoñ kā apnā-pan jhuuT
āshāoñ kā sāvan jhuuT
dil hī āsūda jo nahīñ
phuul bharā har āñgan jhuuT
us kā man jab kaalā hai
chehre kā ujlā-pan jhuuT
us kā chehra chāñd nahīñ
bole dil kā darpan jhuuT
dhartī kī azmat jo na ho
miTTī kā sauñdhā-pan jhuuT
jiddat-e-nudrat jān-e-ġhazal
lafzoñ kā tīkhā-pan jhuuT
jis meñ ḳhushiyāñ janm na leñ
'mehdī' vo ghar āñgan jhuuT