dard-e-dil ke tabīb hote haiñ
ba.az dushman ajiib hote haiñ
vasvase uljhaneñ tamannā.eñ
dil ke kitne raqīb hote haiñ
hañste hañste bigaḌnā ho jin ko
aise bhī to nasīb hote haiñ
maut aur zindagī ke rishtoñ meñ
fāsle kuchh ajiib hote haiñ
din agar kaT bhī jaatā hai 'ādil'
shab ke saa.e muhīb hote haiñ