Shahzad Nayar

shikasta chhat mein parindon ko jab Thikana mila

Shahzad Nayar

1973
shikasta chhat meñ parindoñ ko jab Thikāna milā
maiñ ḳhush huā ki mire ghar ko bhī gharānā milā
falak pe uḌte hue bhī nazar zamīñ pe rahī
mizāj mujh ko muqaddar se tā.irāna milā
ham is ke husn-e-suḳhan kī dalīl kyā deñge
vo jitnī baar milā ham se barmalā na milā
kisī kī dekhtī āñkheñ bhī aas paas raheñ
tujhe milā to ba ehsās-e-mujrimāna milā
maiñ apnī baat daraḳhtoñ se kah ke rotā huuñ
ki mere ġham ko kisī rut na āshiyāna milā
ab aa gayā hai to chup-chāp ḳhāmushī ko san
mire sukūt meñ apnī koī sadā na milā
laḌī sī TuuT ke āñkhoñ se gir paḌī 'nayyar'
laboñ se harf kā koī bhī silsila na milā
Top Urdushayar.com