har ek gaam pe sadiyāñ nisār karte hue
maiñ chal rahā thā zamāne shumār karte hue
yahī khulā ki musāfir ne ḳhud ko paar kiyā
tirī talāsh ke sahrā ko paar karte hue
maiñ rashk-e-resha-e-gul thā badal ke sañg huā
badan ko tere badan kā hisār karte hue
mujhe zarūr kināre pukārte hoñge
magar meñ sun nahīñ paayā pukār karte hue
meñ iztirāb-e-zamāna se bach nikaltā huuñ
tumhāre qaul ko dil kā qarār karte hue
jahān-e-ḳhvāb kī manzil kabhī nahīñ aa.ī
zamāne chalte rahe intizār karte ho.e
maiñ rāh-e-sūd-o-ziyāñ se guzartā jaatā huuñ
kabhī gurez kabhī iḳhtiyār karte hue
nahīñ girā mirī qātil anā kā taaj mahal
maiñ mar gayā huuñ ḳhud apne pe vaar karte hue
maiñ aur nīm-dilī se vafā kī raah chalūñ
maiñ apnī jaañ se guzartā huuñ pyaar karte hue
yaqīn chhoḌ ke nayyar gumāñ pakaḌtā rahā
nigāh-e-yār tirā e'tibār karte hue