apne aabā se bahut duur huā jaatā hai
aadmī ishq meñ majbūr huā jaatā hai
is meñ kyā chāñd sitāroñ ko qabāhat hogī
zarra-e-ḳhāk agar nuur huā jaatā hai
dekhnā yaar vahī hogā vahī honā hai jo
mere allāh ko manzūr huā jaatā hai
dard aisā ki baḌhtā hai mire siine meñ
zaḳhm aisā ki nāsūr huā jaatā hai
naqsh ban kar yahī ubhregā sar-e-sehn-e-jahāñ
aks manzar meñ jo mastūr huā jaatā hai
us ke ruḳhsār se hotā huā lab tak pahuñchā
ashk to mashrab-e-añgūr huā jaatā hai
maiñ use chāhte rahne meñ huuñ masrūf 'fidā'
ye gunah mujh se ba-dastūr huā jaatā hai