mere a.asāb pe chhātī hī chalī jaatī hai
koī sūrat mujhe bhātī hī chalī jaatī hai
saañs dar saañs musāfir haiñ ġhubār-ālūda
zindagī ḳhaak uḌātī hī chalī jaatī hai
kaun kartā hai samā.at ke taqāze puure
ḳhāmushī shor machātī hī chalī jaatī hai
dekh ashkoñ kā samundar hai mire chāroñ taraf
mauj-e-ġham mujh ko bahātī hī chalī jaatī hai
tīrgī hai ki bhaTaktī hai tirī galiyoñ meñ
raushnī raah dikhātī hī chalī jaatī hai
mere sab zaḳhm haiñ naqqād mire sheroñ ke
shā.irī hashr uThātī hī chalī jaatī hai
rokne vaale mujhe rokte rahte haiñ 'fidā'
shā.irī aage baḌhātī hī chalī jaatī hai