dasht ke ḳhaas havāle nazar aate haiñ mujhe
paañv meñ ḳhuun ke chhāle nazar aate haiñ mujhe
haif-sad-haif tujhe dekh nahīñ paatā maiñ
shukr-sad-shukr ujāle nazar aate haiñ mujhe
niiñd lagtī hai chamakte hue sūraj kā shikār
ḳhvāb āñkhoñ ke nivāle nazar aate haiñ mujhe
tum unheñ andhā samajhne kī himāqat na karo
ye to sab dekhne vaale nazar aate haiñ mujhe
jab se ghar chhoḌ ki vo chāñd gayā hai merā
chhat to chhat farsh pe jaale nazar aate haiñ mujhe
ye kahīñ shahr-e-tasavvuf to nahīñ duur talak
sab ke kandhoñ pe doshāle nazar aate haiñ mujhe
dekhtā huuñ maiñ na.e Dhañg se duniyā ko 'fidā'
aur manzar bhī nirāle nazar aate haiñ mujhe