yuuñ kisī baat se ab Dar nahīñ lagtā mujh ko
vahī hotā hai jo aksar nahīñ lagtā mujh ko
phuul lagtā nahīñ hargiz tire hoñToñ kī misāl
sarv tujh qad ke barābar nahīñ lagtā mujh ko
koī tālāb na mahtāb-e-shab-e-vasl kā aks
ye mire ḳhvāb kā manzar nahīñ lagtā mujh ko
jaane kyā ramz hai lagtā nahīñ sahrā sahrā
aur samundar bhī samundar nahīñ lagtā mujh ko
dar-o-dīvār se pahchān baḌhā.ūñ kaise
jab mirā ghar hī mirā ghar nahīñ lagtā mujh ko
baiThe rahnā hai 'fidā' rāhguzar meñ ya.anī
aa ke jab tak koī patthar nahīñ lagtā mujh ko