ḳhvāhishoñ se bar-sar-e-paikār ho jaanā paḌā
ḳhud hī dil kī raah meñ dīvār ho jaanā paḌā
un se pūchho rizq kī majbūriyāñ kyā chiiz haiñ
sub.h hote hī jinheñ bedār ho jaanā paḌā
nam uThā.e phir rahe the apnī āñkhoñ meñ sabhī
aa.ine ko ek din zañgār ho jaanā paḌā
ism paḌhnā thā ki saa.e chīḳhne par aa ga.e
sab ke sab sāyoñ ko phir ashjār ho jaanā paḌā
kaaT bhī rakhnā paḌī lahje meñ aahan dhaar kī
maḳhmalīñ lafzoñ ko jab talvār ho jaanā paḌā
maiñ ne sab ahbāb ko ḳhush rakkhā jitnā ho sakā
yuuñ 'fidā' har din mujhe mismār ho jaanā paḌā