sehr-e-talab na ḳhvāb-e-fusūñ mujh ko mil gayā
niiñd aa ga.ī to ḳhud hī sukūñ mujh ko mil gayā
maiñ chāhtā huuñ ḳhaak uḌā.ūñ jahān kī
ye kaisī aag kaisā junūñ mujh ko mil gayā
ye phuul le kar us kī taraf jā rahā thā maiñ
lekin vo rāste meñ hī kyoñ mujh ko mil gayā
kal tak to āñsūon se pareshāñ thā aur ab
ahvāl-e-dil bhī aaj zubūñ mujh ko mil gayā
us peḌ ko ghamanD bahut thā bahār meñ
lekin ḳhizāñ meñ vo bhī nigūñ mujh ko mil gayā
ik yaad ghar meñ saa.e kī sūrat rahī 'fidā'
ik aks aa.ine ke darūñ mujh ko mil gayā