Nawed fidaa sattii

dawa asar nahin rakhti dua qubul nahin

Nawed fidaa sattii

1982
davā asar nahīñ rakhtī duā qubūl nahīñ
ye kaise log haiñ jin ko ḳhudā qubūl nahīñ
mirā bhī dil nahīñ lagtā ghane makānoñ meñ
use bhī shahr kī āb-o-havā qubūl nahīñ
pahuñch to saktā huuñ manzil pe aap se pahle
magar maiñ kyā karūñ jab rāstā qubūl nahīñ
ki jis se sher meñ ma.anī kā iltavā hī na ho
suḳhan ke baab meñ vo tajraba qubūl nahīñ
maiñ vo faqīr huuñ jis ko diloñ ke tāqchoñ meñ
ḳhudā qubūl hai ḳhauf-e-ḳhudā qubūl nahīñ
vo husn hai use zebā tamām rāz-o-niyāz
maiñ ishq huuñ mujhe shikva gila qubūl nahīñ
dil-o-dimāġh pe taarī hai us kā ishq 'fidā'
dil-o-dimāġh ko duniyā bhī nā-qubūl nahīñ
Top Urdushayar.com