dariyā kī ravānī mire lahje meñ nahīñ hai
maiñ aag huuñ paanī mire lahje meñ nahīñ hai
rakhnā hai mujhe maan haqīqat kā jahāñ meñ
so jhūTī kahānī mire lahje meñ nahīñ hai
jis darja tirī yaad meñ jaltā hai mirā dil
us darja girānī mire lahje meñ nahīñ hai
kyoñ lafz mere lab pe Thaharte haiñ abad tak
kyā naql-e-makānī mire lahje meñ nahīñ hai
chehroñ ke ḳhadd-o-ḳhāl ḳhadd-o-ḳhāl haiñ ya.anī
yādoñ kī kahānī mire lahje meñ nahīñ hai
dekhūñ to 'fidā' lafz hai ehsās kā hāsil
sochūñ to ma.ānī mire lahje meñ nahīñ hai