kyuuñ malāmat kā hadaf gardish-e-paimāna bane
laġhzish-e-pā se mirī ka.aba-o-but-ḳhāna bane
aql ke bas kī nahīñ baḳhiyā-girī phūloñ kī
dard jis ko ho gulistāñ kā vo dīvāna bane
lab-e-hikmat se shab-o-roz ujāle Tapke
tīra-zehnī kā magar ye bhī mudāvā na bane
be-sabab shauq nahīñ mā.il-e-afsāna-garī
har haqīqat kī ye ḳhvāhish hai ki afsāna bane
ruḳh-e-jānāñ ke tasavvur hī meñ rāteñ guzrīñ
chāñd-tāre dil-e-mahjūr kī duniyā na bane
āshnā fasl-e-bahārāñ hī nahīñ hai shāyad
kyā kahīñ phuul ki kyuuñ sabza-e-begāna bane
maiñ to huuñ sham-sifat-soz sarāpā 'shiblī'
jis ko jalnā nahīñ aatā ho vo parvāna bane