gumrāh ho gayā rah-e-hamvār dekh kar
chalnā thā dil ko jāda-e-dushvār dekh kar
jo sar jhukā thā sañg-e-dar-e-yār dekh kar
ūñchā huā hai phir rasan-o-dār dekh kar
shorīdgi-e-sar ko na thā koī mashġhala
dil ḳhush huā hai raah meñ dīvār dekh kar
kyā maiñ kahūñ ki haath se kyuuñ jaam gir paḌā
sarshār ho gayā tujhe sarshār dekh kar
garche ye daur lafzoñ kī bāzīgarī kā hai
kartā hai vaqt faisla kirdār dekh kar
tūfān-e-tīrgī thā bahut dahshat-āfrīñ
himmat baḌhī hai sham-e-ruḳh-e-yār dekh kar
dil aur dimāġh donoñ mere ham-safar haiñ aaj
hairat na kījiye merī raftār dekh kar
'shiblī' samand-e-shauq ko mahmez ik lagī
'ġhālib' kī is zamīn ko gul-kār dekh kar