mujh ko auroñ se koī shikvā nahīñ
maiñ ne bhī to ḳhud ko pahchānā nahīñ
sar pe aa pahuñchā hai sūraj karb kā
saath apne saaya bhī apnā nahīñ
shauq-e-manzil hī hai merā ḳhizr-e-rāh
naqsh-e-pā har moḌ par miltā nahīñ
ho gayā ḳhūn-e-hayāt ab yuuñ safed
jaise merā is se kuchh rishta nahīñ
hai ḳhayāl-e-ḳhām vo maiñ ne jise
pairahan alfāz kā baḳhshā nahīñ
ab hai chehroñ par naqāb-e-maslahat
koī chehra dil kā ā.īna nahīñ
kyuuñ na ho sho.ala-ba-dāman zindagī
kis taraf ab aag kā dariyā nahīñ
phuul kī ik pañkhuḌī kahiye use
zindagī ik barg-e-āvāra nahīñ
zehn-e-'shiblī' meñ hai us kī guuñj bhī
vaqt ke hoñToñ pe jo naġhma nahīñ