junūn-e-shauq-e-mohabbat kī āgahī denā
ḳhudī bhī jis pe ho qurbāñ vo be-ḳhudī denā
na shor chāhiye dariyā kī tund maujoñ kā
mire lahū ko samundar kī ḳhāmushī denā
tū de na de mire lab ko shaguftagī gul kī
jo de sake to shagūfe kī bekalī denā
shanāḳht jis se zamāne meñ aadmī kī hai
ye iltijā hai ki tū mujh ko vo ḳhudī denā
jhukā sake na mirā sar koī bhī qadmoñ par
jo ho sake to mujhe tū vo sar-kashī denā
naqāb ulaT de jo baḌh kar ruḳh-e-tamannā se
ye aarzū hai ki mujh ko vo tishnagī denā
na.ī jihāt se fan ko jo āshnā kar de
mire qalam ko ḳhudāyā vo kaj-ravī denā