Alqama Shibli

nazar jo aata hai bahar mein kab wo andar hun

Alqama Shibli

Patna, Bihar, India

1928-2019
nazar jo aatā hai bāhar meñ kab vo andar huuñ
maiñ aadmī huuñ kahāñ aadmī kā paikar huuñ
rahā jo bhiiḌ meñ bhī mushfiqoñ kī sar-afrāz
ḳhudā-gavāh meñ vaisā hī ek masdar huuñ
safīna koī salāmat na rah sakegā ab
qasam-ḳhudā-kī maiñ biphrā huā samundar huuñ
ye aur baat ki tum ko maiñ yaad aa na sakā
vagarna aaj bhī mahfil meñ har zabāñ par huuñ
thī merī zaat kabhī kā.enāt kā mehvar
hisār-e-zāt meñ lekin maiñ aaj shashdar huuñ
diloñ ke band darīche bhī jis se khul jaa.eñ
jo paḌh sako to paḌhe jaao maiñ vo mantar huuñ
jo paḌh sake na mirā chehra bhī vo ḳhud-bīñ tum
jo dard lamhoñ kā samjhe maiñ vo qalandar huuñ
Top Urdushayar.com