ye nahīñ vo rahguzar kuchh aur hai
mere ḳhvāboñ kā nagar kuchh aur hai
rañg the kal aañkh meñ kuchh aur hī
aaj bhī raqs-e-sharar kuchh aur hai
lab pe mere hai tabassum kā ġhubār
haañ magar zaḳhm-e-jigar kuchh aur hai
ḳhud ke hone kā gumāñ hai bhī to kyā
sāmne apne magar kuchh aur hai
shab meñ thiiñ chāroñ taraf shādābiyāñ
hādisa vaqt-e-sahar kuchh aur hai
ho gayā hai ḳhatm 'ādil' rāsta
par tirā azm-e-safar kuchh aur hai