merā hausla dekh kyā chāhtā huuñ
maiñ qatra se dariyā huā chāhtā huuñ
ġharīboñ ke dukh kī davā chāhtā huuñ
aur un ke diloñ kī duā chāhtā huuñ
maiñ ab ziist meñ kuchh nayā chāhtā huuñ
ki kamre meñ taaza huā chāhtā huuñ
maiñ ashkoñ se apne gunāhoñ ko dho kar
tire dar pe hāzir huā chāhtā huuñ
mere haal par rahm kar ai masīhā
huuñ bīmār-e-ulfat shifā chāhtā huuñ
ta.assub se ho paak har shaḳhs 'armān'
merī sādgī dekh kyā chāhtā huuñ