Munir Arman Nasimi

pilaya usne jab se sharbat-e-didar chuTki mein

Munir Arman Nasimi

1969
pilāyā us ne jab se sharbat-e-dīdār chuTkī meñ
numāyāñ haiñ tabhī se ishq ke āsār chuTkī meñ
ḳhizāñ-dīda thā us se pahle merā gulshan-e-hastī
mirā bāġh-e-tamannā ho gayā gulzār chuTkī meñ
kiyā arz-e-tamannā maiñ ne jab vo hañs ke ye bole
nahīñ karte kisī se ishq kā iz.hār chuTkī meñ
tumhārī ik nigāh-e-nāz ke sadqe meñ ai jānāñ
hue haiñ ḳham na jaane kitne hī sardār chuTkī meñ
gayā vo daur jab farhād chaTTānoñ se laḌtā thā
magar ab chāhte haiñ sab ye pā leñ pyaar chuTkī meñ
namāz-o-roza kī talqīñ guzartī hai garāñ us par
magar shopping ko ho jaatī hai vo tayyār chuTkī meñ
hamāre rahnumāoñ ke ajab atvār haiñ armāñ
kabhī inkār chuTkī meñ kabhī iqrār chuTkī meñ
Top Urdushayar.com