Munir Arman Nasimi

tamam shahr hi dushman hai kya kiya jae

Munir Arman Nasimi

1969
tamām shahr hī dushman hai kyā kiyā jaa.e
vafā ke naam se bad-zan hai kyā kiyā jaa.e
mujhī se pūchh rahā hai ye merā ham-sāya
tumhārā ghar mirā āñgan hai kyā kiyā jaa.e
girā diyā thā mire ghar ko pichhlī bārish ne
ki phir se ghaat meñ sāvan hai kyā kiyā jaa.e
paḌhā.ī jaatī hai maktab meñ ab ġhalat tārīḳh
fasādī haath meñ bachpan hai kyā kiyā jaa.e
jo bachche ho ga.e qābil uḌe vo panchhī se
ki suunā suunā sā āñgan hai kyā kiyā jaa.e
ki sach kuchal diyā beva kī hasratoñ kī tarah
ki jhuuT haath meñ kañgan hai kyā kiyā jaa.e
havelī dil kī hai 'armān' suunī suunī sī
udaas ruuh kā āñgan hai kyā kiyā jaa.e
Top Urdushayar.com