phuul ḳhushbū chāñd jugnū aur sitāre aa ga.e
aap kyā aa.e ḳhushī ke isti.āre aa ga.e
yaas ke gahre samundar se nikalnā thā muhāl
aap ne chāhā umīdoñ ke kināre aa ga.e
apnī saarī nekiyāñ un ke havāle ho ga.iiñ
un ke sab ilzām lekin sar hamāre aa ga.e
band apnā dar kiyā jab ik amīr-e-shahr ne
merī ḳhātir mere maulā ke sahāre aa ga.e
television dekh kar hone lage bachche javān
sātvīñ meñ un ko bhī bāliġh ishāre aa ga.e
bhar ga.ī haiñ jholiyāñ dil kī murādoñ se 'munīr'
un ke dar pe jab kabhī dāman pasāre aa ga.e