bhuul jā.ūñ maiñ adā kaise us harjā.ī kī
jis ne ḳhushbū kī tarah merī pazīrā.ī kī
yaad jab us kī chalī aa.ī mirī rāhoñ meñ
laaj rakh lī hai usī ne merī tanhā.ī kī
aise ujḌā hai tire ba.ad mire dil kā jahāñ
achchhī lagtī nahīñ āvāz bhī shahnā.ī kī
dauḌ jaatī hai lahar sī mere dil ke andar
yaad jab aatī hai us shoḳh kī añgḌā.ī kī
ḳhūn-e-dil apnā pilāyā jo ġhazal ko maiñ ne
tab kahīñ jā ke zamāne ne pazīrā.ī kī